Watch & Download
Synopsis
Koyuki Hikawa ko school mein sab Ice Queen bolte hain, aur honestly naam bilkul fit baithta hai. Ladki kisi se zyada baat nahi karti, apne aur doosron ke beech ek wall bana ke rakhti hai. Season 1 mein yeh wall thoda thoda tootna shuru hua tha, aur The Ramparts of Ice Season 2 wahin se aage badhta hai.
Problem yeh hai ki Koyuki ki purani yaadein uska peecha nahi chhodti. Isi wajah se woh khud ko sabse door rakhti hai. Par uski life mein teen log aa gaye hain jinhe us wall se koi farak nahi padta. Miki Azumi, jo kabhi school ki idol thi. Yota Hino, ek gentle basketball player. Aur Minato Amamiya. Chaaron ki apni apni uljhan hai, aur koi bhi seedha apni baat bol nahi pata. Bas yahi sab kuch complicated bana deta hai.
Koyuki ki khaas baat yeh hai ki bahar se bilkul thandi lagti hai, par andar se bahut soft hai. Bas dikhana nahi aata usse. Aur Minato, bhai, us ladke ko personal space ka matlab hi nahi pata. Seedha Koyuki ke paas aa jata hai, bina soche. Wahi cheez Koyuki ko sabse zyada hilati hai. Koori no Jouheki ki poori vibe isi dynamic pe chalti hai.
Ab is season mein Koyuki aur Minato ke feelings dosti se aage jaane lagte hain. Thoda awkward, thoda cute, aur thoda frustrating bhi. Doosri taraf Yota ne aakhir Miki ko woh baat bol di jo woh saalon se dil mein rakhe hue tha. Kuch log dil khol ke bol dete hain, kuch sab andar rakhte hain, aur isi chakkar mein sabke raaste baar baar cross hote hain par mil nahi paate.
Meri baat simple hai. Yeh slow burn wala romance hai, kabhi kabhi frustrating bhi lagta hai, par characters itne real lagte hain ki attach ho hi jaate ho. The Ramparts of Ice Season 2 Hindi sub mein pe available hai, watch online kar sakte ho. Ek baar zaroor dekhna, khaaskar agar season 1 pasand aaya tha.