Watch & Download
Synopsis
Saku Chitose ko dekho to lagta hai life set hai. Fujishi High School ka sabse popular ladka, confident, friendly, aur charisma itna ki log khud usse look up karte hain. Chitose Is in the Ramune Bottle isi banday ki story hai. Par popularity ka burden bhi hota hai bhai. Sab usse pasand nahi karte, kuch log peeche baatein bhi karte hain. Aur Saku ka rule simple hai, ugly life jeena maut se bhi bura. Isliye wo apni perfect image girne nahi deta.
Second year ke start mein uska homeroom teacher ek favor maangta hai. Ek classmate school aana band kar chuka hai, usse wapas laana hai. Saku ko laga kaam jaldi ho jayega. Simple hai. Par nahi hota. Shut-in Kenta Yamazaki khulke Saku se nafrat karta hai, aur sirf Saku se nahi, us poori life se jo Saku represent karta hai. Ek chhota sa favor dikha deta hai ki social light wale aur jinko chance hi nahi mila, unke beech kitna distance hai.
Saku ki sabse badi cheez uska natural charm hai. Bina try kiye log uske paas aa jaate hain. Lekin yahi cheez usse trap bhi karti hai. Ek taraf wo log jo usse admire karte hain, doosri taraf wo jo hate karte hain, aur nazar dono ki uspe rehti hai. Isliye wo sincere hone aur performance karne ke beech ek patli line pe chalta rehta hai.
Saku Kenta ko handle karne ki koshish karta hai aur khud ko bhi question karne lagta hai. Part 2 mein July aa gaya hai, inter-high tournament ki preliminaries chal rahi hain aur Haru Aomi basketball club ki new captain hai. Saku baseball team chhodne wale decision pe doubt karne lagta hai, kyunki naya batter injure ho gaya aur purane teammates usse wapas bula rahe hain.
Honestly mujhe Chitose Is in the Ramune Bottle ka vibe alag laga. Normal school anime nahi hai, characters real lagte hain. Chitose-kun wa Ramune Bin no Naka ka Hindi subbed Part 1 aur Part 2 dono pe mil jayenge, to watch online karna ho to seedha wahi se dekh lo. Ek baar try karo, maza aayega.